What is Diabetes in Hindi & What fruit for diabetes patient in hindi 2023

What is Diabetes in Hindi? डायबिटीज़ क्या होती है?

Hello dosto main aaj apko btaongi What is Diabetes in Hindi? डायबिटीज़ क्या होती है? yeh ek aisi bimari hai jo insaan ko hone ke baad kabhi khatam nahi hoti hai yeh ek tarahn se aajevankal bimari hai iss bimari ke karan insan apni zindagi main sukun nahi le pata hai na apni pasand se khata hai na Peeta.
Yeh ek metabolic disorder hai jisme insaan ke sharir ke khoon yani (body blood) main glucose ka level itna zada ho jata hai ki insaan ki body main ache se insulin nahi ban pata hai.
(Insulin pancreas main banne wala wo Harmon hai jo blood glucose ko balance kar body ko energy ke rop main glucose ka use karne main help karta hai)
Jab sahi level main insulin nahi hota hai body main to hume energy dene wale harmones sahi se kaam nahi karte hain. Jis tarha insulin ka banna body main important hai usi tarah hmara suhast hona bhi zruri hai
Or jab yeh sahi se nahi ban pata hai to iss bimari ki chapet main ane wale insan ke body metabolism disorder par bhi iska kafi asar padhta hai.
Ab apko yeh baat bhi ache se pta honi chahiye ki diabetes kya hoti hai or iske kitne rop hote hain uske liye apko main btane ja rahi hun iske baare main.

How Diabetes Damage Your Body? मधुमेह/डायबिटीज़ आपके शरीर को कैसे नुकसान पहुंचाता है?

Jaise ki aap jante hain ki diabetes ek aisi bimari hai jo ajeevankaal rehti hai yeh metabolism disorder disease
Iske chalte aap sahi khaa bhi nahi paate hain or zadatar logo ko to yeh pta he nahi chal pata hai ki unhe diabetes ho gyi hai or uske kya karan ho sakte hain. Jab ap khana khaate hai to jo glucose aapki blood stram main ata hai or hmari body blood cells ko iski jankari deta hai or isme ane wale glucose ko istemal karke energy deta hai jisse hume acha mehsos or energiatic feel karati hai.
Isiliye sabse zada zruri hai ki hume pta hona chahiye ki diabetes hai kya or iske kitne rop hote hain.

Types of Diabetes

Sabse pehle to apko yeh ache se smajhna hoga ki apko konsi diabetes hai or apko kya karna chahiye uske liye. Isliye yeh bhi bahut zruri hai ki apko diabetes ke pirkar ache se pta hona chahiye.

  • Type 1 Diabetes
  • Type 2 diabetes
  • Gestational diabetes

Type 1 diabetes kya hai ?

Type 1 wo diabetes hoti hai jo hmare sharir main galti se ho jati hai kya hota hai jab hum bahar ka life style apnate hain ya khana khate hain to yeh bimari hume ho jati hai isse kya hota hai ki hmare andar jo beta cells hote hain wo hamari pancreas par galti se attack kar dete hain jis karan hume diabetes ho jati hai or ise hume autoimmune condition bhi kehte hain.

Type 2 diabetes kya hai

Type 2 humare genes main bhi hoti hai
Yeh hmara weight badh jane se bhi ho jati hai ya ekdam hmare life style main badlav hone se bhi ho jati hai.
Isme kya hota hai jab hmari body main insulin ki matra kam hone lagti hai or hmari body ki zarurat ke hisab se insulin nhi milta hai to usse hume high blood sugar ho jati hai.

Gestational diabetes

Yeh bimari hume pregnancy ke doran ho jati hai isme kya hota hai jab ek aurat maa banne wali hoti hai to porre 9 mahino main uski body main Bahut badlav ate hain jinme se ek karan yh bhi hota hai yani gestational diabetes. Isme kya hota hai pregnancy ke doran kuch Harmones aise hote hain jo insulin ka rasta band kar dete hain pancreas Tak jane ka or isi wajah se ek pregnant women ko diabetes hone ki chances ho jate hain yeh zadatar 50% hota he hai.

Major 9 Causes of diabetes hindi main

Diabetes ho ke kya karan ho sakte hain yeh bhi main apko btane ja rahi hun.
Jab hamari body insulin ka istemal nahi kar pati hai sahi se to hume iss bimari ka samna karna pdhta hai uske liye kuch karan yeh bhi ho sakte hain.

  1. Genes main diabetes hona yani ke pariwar main kisi ko diabetes ho jana
  2. High cholesterol ho jana
  3. Exercise nahi karna
  4. Zada weight badh jana
  5. High blood pressure rehna
  6. Acha khaan paan nahi lena samay par
  7. Zada umara ho jana
  8. Harmones ka bigad jana
  9. Insulin ka kam ho jana yeh bhi diabetes ka sabse badha karan hota hai.

Diabetes ke lakshan kya hote hain

Jis tarha hume yh pta chla hai ki diabetes kya hai or uske kitne pirkar hain isi tarah hume yeh bhi pta hona chahiye ki diabetes ke lakshan kya hote hain

  1. Weakness feel hona
  2. Chakkar ana
  3. Zada pyas lagna
  4. Zada bhook lagna
  5. Ekdam se body ka weight kam ya badh jana
  6. Vaginal infection ho jana
  7. Skin infection ho jana
  8. Kam dikhne lage
  9. Bar bar urine ana
  10. Urine infection ho jana
  11. Halke halke chott ka thik hona

Hmare liye zruri hai ki agar hume itna bhi pta hota hai iss bimari ke bare main to hume forrn apne Dr ko dikhana chahiye.
Jab ap dr ko dikhayenge to wo apke kuch tests karaynge jisse asani se pta chal jayga apko.

Diabetes type i & ii cure in 72 hrs

Sabse zada zruri hai ki hume yeh sab pate agar pta hoti hain to hume yeh bhi ache se pta hona chahiye ki hum ki tarah se is bimari se bach sakte hain uske liye zruri hai ki hume kuch baato ka ache se dhyan rakhna chahiye taaki hume yeh bimari na ho uske liye main apko kuch khaas baate btane ja rahi hun jaise.

Agar apko meetha pasand ya mithai to apko sabse pehle meethe ko tata bye bye kehna hoga Meetha Khaane Ke Nuqsaan agar ap apni diet main meetha kam lenge to yeh apki diabetes se to bachyga he sath he main weight gain hone se bhi kyunki sugar main bhi kafi fat bdhane ki matra hoti hai.

  • Fresh rahe ache se exercise karain subha shaam walk par jaye.
  • high fiber wala khana khaye naa ki high fat wala protein bhi ek achi matra main lain
  • zada pani piye taaki apki body ache se hyderat rahe
  • agar aap smoking ya Alcohol lete hain to wo bilkul na lain
  • apne andar vitamin D ki kami na hone de (vitamin D ki kami se diabetes hone ka khatra badh jata hai)
  • Soft drinks se bhi bache meethi drinks na lain, ice cream ka bhi parhez karain.
What is Diabetes in Hindi & What fruit for diabetes patient in hindi 2023
What is Diabetes in Hindi & What fruit for diabetes patient in hindi 2023

Ek achi diet se bhi diabetes se bacha ja sakta hai

Ek achi diet matlab ek achi life or ek achi life kon nhi jeena chahega to aaye jaante hain ek achi life ke liye ap ek achi diet kese le sakti hain.
Achi diet ka matlab koi special diet se nahi hota hai balki jo ap khaate peete hain agar use bhi ap tariqe se khaye yani samay se khaye to bhi bahut farq padhta hai jaise aap samay par khana khaye samay par so jaye ache se har cheez ko maintain karkar chale to isse Bahut zada faraq pdhega apki life style main jo apko diabetes jaise bimari se dor krega jaise ap apni diet main kya le sakte hain or kese wo bhi main apko bta rahi hun.

Jis tarha ap morning main uth jate hain agar ap jaldi uthakr ek achi walk par jate hain to isse kafi farq pdhega apki life main bhi.

sath he jab ap breakfast karte hain to ap apne Breakfast main achi cheeze ko bhi jgha de sakte hain jaise Rich in high fibre fruits ap fruits ko bhi achi jgha de sakte hain apni diet main jaise Apple, grapes wo bhi black berries like black berries avocado sath he main oats, brown rice, whole wheat, barely, whole grains and quinoa behtar hoga ap oily breakfast na karain isse apka fat bodega or cholesterol bhi jiski wjha se apko diabetes hone ke chances badh jate hain.

Best fruit for diabetes patients in Hindi

Ap vegetables bhi le sakte hain yeh bhi ek acha option hai vegetables kafi rich in fibre hoti hain jaise ap shamil kar sakte hain Broccoli, carrots, spinach, garlic, beans. Yeh apko diabetes se bhi bachayngi sath he main heart problems se bhi heart problems ke bare main bhi ap yahn padh sakti hain or agar dekha jaye to aap apni diet min proteins ko bhi jagha de sakte hain jaise aap le sakte hain. Lean meat, chicken meat, chicken soup bhi achi choice hai, fish, eggs, nuts, and lentils. or agar baat kari jaye non fat diet ki to uske liye apko apni diet main olive oil ko jgha deni hogi sath he main low fat milk, yogurt and cheese. Yahn apne pdh he liya hoga achi diet main kya lain

Read More Blogs At: http://newzatic.com

Read More About : Rasoi main rakhi in 8 cheezon se krein pait dard ka ilaj

Ilma Khan

Hello, i am Ilma Khan, I love to write blogs on Newzatic.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ahomescontents