Top 20+ Tips For Heart Patients

Hello dosto main aaj apse share karne ja rahi hun ek acha or healthy heart ki tips.

Aaj kal hum log apni zindagi main itne zada busy ho gye hain ki hum apni care he nahi karte hain bss hum apni zindagi ko ek gaadi ki tarhan bhagye ja rahe hain jaise maan lo koi train chut rahi ho to kahin chut na jaye iss sabke chalte hum apni care bilkul nahi karte hain isi ke sath sath jab hum apni care he nahi karte hain to hum khud bhi healthy nahi rehte kyunki jab humara heart he mazboot nahi rehga to hum bhi mazboot nahi reh sakte.

Aap dekh sakte hain aaj kal heart problems zada tar logo mn aam hoti ja rahi hai log zadatar heart attack se mar jate hain ek he saans main unki zindagi khatam ho jati hai jab hum apni care he nahi kr sakte to hum healthy kese reh sakte hain or in sabke chalte humara Dil kamzor hone lagta Hai or hum heart ke mareeez ban Jate hain . Or heart ka patient hona yeh koi achi baat nahi hoti.

Heart problems ki wajah se hum khulkar apni zindagi nahi jeete hain.

Apko to pta he hai heart problems ab ek normal bimari ban gyi h newborn babies tak main ho jati hai.

Heart problems hone ke karan na aap apne mann ka kha sakte hain na kahin apni pasand ki jgha ja sakte hain kyunki heart patients ko kafi zada care karni hoti hai.

Isiliye main aaj apse share krungi kuch aisi baate jisse aap apne ap apni care karne lgegne.

Sabse pehle to main apko yeh btana chahti hun ki aap apni care krenge to aap ek achi life jee sakte hain bina kisi boundation ke.

Apko pta to hoga he ki ek achi life hone ke liye apka healthy hona or healthy heart hona bhi important hai, 

Jaise ki aap jaante hain hmara dil hmare jism ki sabse important machine ka kam karta hai, hmara dil 1 minute main 72 se 80 baar dhadkta hai yaani 4,800 baar per hour, 115,200 pore din main yani 24 hour main, 42,048,000 or pore saal main (1year).

To ab aap dekh he sakte hain hmara dil kitni mehnat or kitna important kaam karta hai hmare liye.

Lekin sabse zada dukh ki baat yeh h ki aaj kal ke time main sabse motay heart ki problem ki wajah se hoti hain.

Chliye ab main apko btati hun ki aap apne heart ki care kese kar sakte hain.

Important baate.

# sabse pehle to hume apni care karne hogi, sahi samay par sona or jaagna yaani agar 1 insan pore 8 ghante sota hai to wo apne heart ki care kar sakta hai.

# Sahi khana jo bahut important hai agar hum ek achi diet le rahe hain to yeh bhi bahut achi baat hai.

# Apne aap ko stress mukt rakhna yani zada ghambhir na hona koi bhi baat dil par na lena yeh bhi zruri hai.

# Alcohol se doori bnakar rakhna

# Ek acha vatavaran bnaye rakhna

# Apne weight ko maintain rakhna 

# fruits and vegetables ko apni diet main shamil karein

Care tips for healthy heart (suhast dil ke liye dekh bhal hai zruri)

8 ghante wali neend

Apko apne dil ko suhast rakhne ke liye 8 ghante to sona he chahiye agar aap ek achi neend lete hai to isse aap bimari ya chidh chidhe nahi rehte hai.

Ek Achi neend lena bhi zruri hai achi health ke liye.

Achi diet lena

Ek achi diet lena bhi bahut faydemand hota hai dil ke liye or health ke liye bhi agar aap achi diet lete hain to yeh apki health ke saath saath apke heart ko suhast rakhti hai.

Achi diet main hum le sakte hain kam fat wala khana

Jaise,masale daar gravy ya makhan (butter)

Tala bhuna na ho jisme zaada oil hota hai, bhaar ka khana na ho tikki pdhake chowmin yeh saare snacks or mainda to bilkul bhi nahi lain.

Jo log heart patients hote hain unhe chahiye ki wo apne khaane main OLIVE OIL use krain.

Acha khana khana bhi ek bahut achi baat hai aapko apni diet main kuch aise important khane khaane chahiye jo apke dil ko suhast rakhne main bhi karegar ho jaise aap le sakte hain OATS, LENTILS OR SABUT ANAJ YANI CHAPATI .

Stress ( tanav na lain)

Aaj kal ki life bahut zada busy ho gyi hai , busy life ke chalte hum apna dhyan rakhna he bhoolte ja rahe hain ki kaam ya koi bhi baat hone par hum stress lene lagte hain or hum itna zada stress lay lete hain ki humara dil kamzor hone lagta hai or hum heart ke pateint ban jate hain.

Stress kam karne ke liye hume music sunna chahiye, meditation karna chahiye, exersise karni chahiye, ek achi walk bhi kar sakte hain.

Alcohol 

Hume Alcohol jaisi cheeze se bachna chahiye, jo log beedhi, cigarette,tobbacho khate hain unhe inn sab cheezo se parhaz karna chahiye or naa he khaye to acha he hai kyunki ciggerate peena ya tobbacho sehat ke liye acha nhi hota agar aap ciggerate peete hain to yh apke lungs ko khrab kar deti hai sath he main aapke dil per attack karke apko hmesha ke liye heart patient bna degi. Ya sharab peete hain to aap maut ka bhi shikar ho jate hn.

Good Air quality

Aaj kal ke time par apko ek achi hawa (Good Air)  to mil nahi sakti agar aap ghar se bahar jate hain to aap dekh sakte hain kis tarah air pollution ho rha h jiss karan hume mask ka istemal krna chahiye taaki hum uss pollution mn na girft ho isi tarah se agar hum choti choti baato ka dhyan rakhe to hum apna dhyan rakh sakte hain.

Ek acha vatavaran bnaye rakhna apne ass pass ki jgha ko saaf khud ko saaf rakhna taaki aapko koi bhi bimari na lage.

Top 20+ Tips For Heart Patients

Weight maintenance

Ek achi health ke liye weight maintenance bahut zruri hota h agar apka weight zada hai to usse apko kam karna chahiye kyunki zada weight hone ke karan apko na jaane kitni bimariyo ko shikar hona padhta hai sath he main heart pa bhi asar hota h kyunki hmara weight cholesterol ki wajha se badhta hai kya hota hai hum oily kha kha kar apne weight bahut zada gain kar lete hain or fat hmari body main jamne lagta hai or isi karan hmara cholesterol level badhne lagta hai zada cholesterol level seedhe hmare heart par attack karta hai jiske karan hume heart problems hone lagti hain.

Ap apne weight kam karne ke liye exercise kar sakte hain, gym jaa sakte hain, achi walk kar sakte hain, ek acha workout bhi kar sakte hain or zada maatra main paani bhi peena chahiye or garam pani bhi le sakte hai agar garam pani piynge to yeh apke fat ko bhar nikalne main asani karega.

Or sath he aap apna weight loss karne main bhi helpful rahnge.

Fruits and vegetables ko bhi apni diet main shamil karein

Ek achi diet ke sath sath zruri h ki apko apni diet main kuch khaas phalo or sabziyo ko bhi jgha deni chahiye .

Khana to hum khate he hain lekin hume kuch extra cheeze khani chahiye taaki hume sahi nutrients, protein and fiber mil sake uske liye aap le sakti hain fruits mappleain..

Fruits

Apple

Ek apple  bhi agar ap roz khate hain to yeh bhi kafi faydemand hoga apke liye, ek apple khane se apko good fiber milenge jo ki aapke dil ko mazbot rakhne main kafi madadgar hota hai.

Ek apple khane se aap apne cholesterol level ko bhi maintain rakh sakte hain.

Berries (black berry, blue berry, strawberry)

Ap apni diet main berries ko bhi shamil kar sakte hain jaise jamun, jamun aapke dil ko healthy rakhta hai isme aise nutrients paye jaate hain jo apke dil ko suhast rakhne main kafi madadgar hote hain isi tarah se yh saari berries bhi ap shamil kar sakte hain apni diet main inme antioxidants tatav paye jaate hain jo apke dil ko healthy rakhne main kafi madadgar hota hai.

Orange (santara)

Ap ek santara bhi le sakte hain apni diet main ek santara khane se bhi apko bahut fayda hoga

Santare main pectin hota hai jo apka immune system mazbot karta hai sath he main apko blood pressure se bhi bachata hai apne dil ko mazbot bnane ke liye ek santara bhi ap roz le sakte hain.

Avocado

Avocado bhi ap shamil kar sakte hain apni diet main 

Avocado main mono  asaturated faty acid paye jaate hain jo apke dil ko fit rakhne main bhi karegar hota hai sath he isse aap apka badcholestrol bhi kam ho jata hai or apka dil mazboot rehta hai

Avocado main bharpor matra main pottasium paya jata hai jo apka blood pressure control rakhne main bhi kafi madadgar hota hai

Vegetables

Broccoli yani hari gobhi

Aap apni diet main hari gobhi ko bhi shamil kar sakte hain. Broccoli main bharpor matra main potassium paya jata h jo apke dil ko mazbot rakhne main madad karta hai sath he aap broccoli ko ubal kar ya sabzi bnakar bhi le sakte hain.

 Spinach

Palak bhi bahut achi cheez hai ise ap apni diet main shamil kar sakte hain iske bhi potassium hota h jo apke blood pressure ko maintain rakhne bhi karegar hota hai.

Garlic

Lehsun ek chamtkari hota h apke dil ke liye lehsun paye Jane Wale vitamins ( vitamin C) nutrients, potassium, magnesium or folate bhi inn sabki matra bhi bharpor hoti hai lehsun main jo apke Dil ko mazbot rakhti hai.

Green beans yani hari phali

Hari phali bhi le sakte hain ap apni diet main jaise matar, matar ke daane jo ki bharpor matra main potassium or folate se bhare hote hain or apke dil ko fit rakhte hain.

Carrots ( gajar )

Gajar bhi shamil kar sakte hain ap apni diet main isme cholesterol kam karne ke liye poshan tatav hote hain yeh apko dil ko bimariyo se dor rakhne main bhi madadgar hota hai.

Ab agar baat kri jaye extra diet ki to aap apni extra diet main dry fruits bhi shamil kar sakte hain jo apke dil ko mazbot rakhne or bimariyo se dor rakhne main madad karte hain. Isme se kuch aise dry fruits hote hain jo apke dil ko zada healthy rakh sakte hain jaise.

Dry fruits

Wallnut (akhrot)

Agar ap ek akhrot bhi roz khate hain to isse apka cholesterol level control rahega. Akhrot main omega-3 fatty acid paye jaate hain ise apke andar good cholesterol badhega or apke dil ko mazbot rakhega.

Almond

Badam dimag ke sath sath apke heart ko bhi mazboot karta hai iske andar mono unsaturated fatty acid or poly unsaturated fatty acid paye jaate hain or magnesium bhi paya jata hai jo apke blood pressure ko kam karta hai sath he apko heart strok se bhi bachata hai.

Khajoor yani Dates

Khajor bhi kam nhi hai, khajor ke sevan se aap apne dil ko bimariyo se bacha sakte hain. Agar aap khajor ko raat bhar bhigakar pani main khate hain to yeh apke cholesterol ko kam karta hai sath he main apke heart ko healthy rakhta hai.

Anjeer

Anjeer ek aisa dry fruit hota hai jo khoon main jama hua cholesterol ko bhar nikal phek deta hai isme aise fiber paye jaate hain jo apke cholesterol ko sahi karta hai or anjeer ke andar antioxidants or potassium bhi bharpor matra main hota hai.

Anjeer apke heart ko maintain rakhta hai sath he main yeh khoon ke badawe ko maintain rakhta hai taaki zada pressure se apko heart attack ya strok na ho.

Anjeer apke heart disease ko kam karne bhi kafi karegar rehta hai.

Isliye zruri hai ki aap apne heart ko healthy rakhne ke liye achi diet bhi zrur lain.

Author

Ilma Khan

Hello, i am Ilma Khan, I love to write blogs on Newzatic.com

3 thoughts on “Top 20+ Tips For Heart Patients

  • March 28, 2023 at 12:03 am
    Permalink

    Very helpful tips. Thank you ma’am 💖

    Reply
  • March 28, 2023 at 12:49 am
    Permalink

    Thank you so much for your good advice

    Reply
  • March 30, 2023 at 6:51 pm
    Permalink

    I am truly thankful to the owner of this web site who has shared this fantastic piece of writing at at this place.

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ahomescontents