Rasoi main rakhi in 8 cheezon se krein pait dard ka ilaj

Hello mere dosto mai aaj apse share karne jaa rahi hun navjat baccho ke pait dard ki samasiya.
Mera Blog khas karke unn logo ke liye hai jo bilkul new parents bane hain, jo abhi apne navjat shishu ke baare main kuch nhi jaante hain, wese to baccho main pait dard(colic) hona koi zada badhi baat nhi hoti, han agar samay par dhyan na rakha jaye or Dr ko na dikhaya jaye to apke navjat Shishu ki dikkate badh sakti hain jis karan apke bacche ko kuch bhi ho sakta h.
Zadatar kya hota h bacche extreme feed kar lete hain or phir bar bar palti karte hain inn sabb baato ka bhi dhyan rakhna hota hai ki kahin bacche ko ulti to nhi ho rahi h . To agar hum colic yani pait dard ki baat kare to pait dard apke navjat shishu ko 3 se 6 mahine tak kabhi bhi ho sakta h, apka baccha choto hota hai to kese pta chlega zadatar to apka baccha ro kar bta deta h liken hume pta nhi chal pata h, jab hum bacche ke diaper change karte hain ya bacche ko bhook lagti h to baccha rokar btane lgta h liken bacche ke pait mn dard h yeh kese hume pta chale hume samjh nhi ata h or baccha zada rone lgta h kyunki use taqleef hoti h or hum samajh bhi nahi paate hain. To hamare liye bhi utna h zruri h ki hum apne shishu ki saari baato ka dhyan rakhte hue uski taqleef ko bhi samjhe inse hoga pet dard ka ilaj.


Jab apka newborn is duniya main ata h to apke newborn ke liye janam ka shuruwati samay bahut nazuk or mushkil ka hota h uss samay baccha sirf rokar he apni baat smjha pata hai.
Apka navjat (newborn) itna chota hota hai ki wo bhook lagne par bhi rokar he btata hai or neend aane par ya diaper change krane par bhi rokar he apni baat smjha pata hai liken jab apka newborn hadd se zada rone lage to yeh apki zimmedari hoti h ki ap apne newborn ki baat samjhe ki apka newborn itna kyun ro raha h kya karan ho sakta h uske rone ka use kya samasiya hoti hai ho sakta hai apke newborn ko colic pain ho raha ho (pait dard).
Ab aap apne newborn ko dwa to de nahi sakte pait dard ke liye to apke liye zruri h ki aap ache se samjhe apne navjat ka colic pain (pait dard).
Colic pain (pait dard) lagbhag 30% newborn babies main hone ki sambhavna ho sakti h yeh zadatar 3 se 6 mahine (month) main ho jata h jisme se 4 se 6 mahine ke beech main thik bhi ho jata hai or hone bhi lagta hai.

# Isiliye main aaj apko btane jaa rahi hun kuch gharelu upay jinse aap apne newborn ki taqleef ko thodha kam kar sakte hain.
Or apko pta to hoga he ki daadi or naani maa ke nuske bhi kafi kargar (madadgar) hote hain.

1) Hing (Asafoetida)


Jii haan hing jaise ki aap jaante hain ki hing asani se mil jati h or ghar main bhi istmal hoti hai jo apko apne kitchen main aram se mil jayegi, hing ek aisa gharelu upay h jo naani or daadi ke samay se chla arha h pehle ke time ke upay aaj bhi kaam main ate hain.
To apko hing ko direct nhi lgana h apne shishu ko hing lgane ke liye apko uska paste bnana hoga ache se or apne navjat ko ap wo paste lga sakti hain.
Paste bnane ke liye apko sabse pehle thodha yani 1 chota chammach pani main thodhi see hing daalni hai 1 chutki or uss paani ko apko ache se gun guna ya thodha taiz garam karna hoga or phir uss pani main apko ache se hing ko ghol lena h taki uska ek bhi daana na rahe or jab wo naram ho jaye to aap uss paste ko apne navjat ke naabhi yani (navel) ke side se lgana h halke hath se malna hoga naa ki naabhi ke ander yaad rakhna ki naabhi ke andar nhi lgate hain usse bacche ko dikkat bhi ho sakti hai or jab aap paste ko lgaye to halke halke hatho se malish kare taaki apke bacche ke pait mn naa lage.
Or agar aap chahe to normal paani lekar bhi ek chamach mn hing ghol kar lga sakti hain lekin agar ap gun gune pani mn hing ghol kar lgayngi to wo jaldi ghulegi or jaldi asar kregi or apke bacche ko jaldi rahat milegi.
Or aap chahe to CATCH ki hing bhi le sakti hain main to wahi istmal karti hun apne shishu ke liye.

2) Dahi (curd)


Jaisa ki aap jaanti hain dahi bhi gharelu nusko mn kafi laabhdayak hota h dahi se bhi hum baacho ke pait drd ya madod mn rahat de sakte hain.
Uske liye apko ek chamach main dahi lena hoga or ek chutki ap apne shishu ko dahi chakha sakti hain ya chata sakti hain.
Dahi mn kuch aise probiotic gunn hote hain jo pait ko saaf karne main kafi kargar rehte hain.

3) Saunf (fennel seeds)


Saunf bhi kaafi zada madad karti hai colic main sirf badde he nahi bacche bhi isse le sakte hain.
Ap apne navjat ko saunf ki madad se bhi rahat de sakti hain yeh aanto pr aethan ke parbhav ko kam karne main madad karti hai.
Iske liye apko chahiye ki aap apne navjat shishu ko saunf ka pani de, saunf ka pani bnane ke liye apko ek cup pani ko garam kare usme saunf ko daale lagbhag ek chammach saunf daale or usse raat bhar ke liye rakh dain or phir aap iss paani ko agli subha main ache se chaan kar apne shishu ko thodhi thodhi khurak mn dena shuru kar sakti hain isse bhi apke bacche ko colic se rahat milegi.

Rasoi main rakhi in 8 cheezon se krein pait dard ka ilaj
Rasoi main rakhi in 8 cheezon se krein pait dard ka ilaj

4) Malish (massage)


Jaise ki aap jaanti hain ki naani or daadi ke zamane se baccho ki malish chali arhi h or aj isi tarhn se hum bhi apne navjat ki maalish bhi karte hain taaki wo mazbot rahe isi tarahn se aap apne navjat ki maalish colic pain ke liye bhi kar sakti hain jisse aapke navjat ke pait mn madod nahi hogi or gas bhaar nikelgi.
Malish karne se haddiyan hee mazboot nhi hoti hain navjat ko kafi madad bhi milti h jisse wo khudme bhi mazboot mehsus karta hai .
Malish karne ke liye apko chahiye ki aap gun guna tail le sakti hain ya (Himalaya ka ek oil ata h jo khaskar baccho ko kabz or colic se rahat ke liye hota h) ya phir aap chahe to saunf ka oil bhi le sakti hain ek research ke dooran paya gya h ki saunf ka oil bhi kafi madadgar hota h.
To apko oil ko ache se apne hath yani palm par lgana hai or halke halke hatho se apne bacche ke pait par malish karni hai or apne hatho ko neeche ki taraf le jana h taaki gas bhaar nikle or apke shishu ko jaldi rahat mile.

5) podhina (peppermint)


Aapko pta to hoga he podhina thanda hota h jo jalan ko kam karne ke sath sath gas ko bhi thik karta h or colic main bhi rahat deta h.
Apko garmiyo mn podhina aram se mil jayga apne kitchen main he jiski madad se aap apne navjat shishu ko jaldi rahat de sakti hain or uske liye apko chahiye ki aap kuch pattiya lain le podhine ki or unhe ache se kuchal kar ek cup pani mn garm kar le or jab wo thanda ho jaye ya naram to aap usse apne navjat shishu ko de sakti hain thodhi quantity main kuch kuch samay par.
Or sabse zada important baat aap koi bhi remedy apne shishu ko dain to pehle use khud chakhe taaki apko uska taste pta chle or ap use apne tarike se sahi kar lain.
Agar aap podhine ka pani bnati hain to use bhi ap pehle khud chakhe or agar wo zada hard lg raha ho to usme aap or pani mila sakti hain taaki apke navjat shishu ko pareshani na ho or wo aram se pee lay.
Or wese to apko peppermint oil bhi aram se store par mil jayga jo apki kafi madad kar sakta h.

6) Zeera (cumin seeds)


Jaisa ki aap janti hain ki zeera bhi hajam karne main kaafi madadgar hota hai aap chahe to zeere ke istmal se bhi apne shishu ko colic pain se rahat de sakti hain .
Uske liye apko zeere ko ek cup paani main zeera daal kar kuch time ke liye gas par ache se boil kar lain or phir gas band karne ke baad usse raat bhar ke liye ap uthakr rakh dain or phir uss pani ko ache se chaan kar aap apne navjat shishu ko dena shuru karde thodhi thodhi quantity main kuch kuch smay par isse bhi apke navjat shishu ko jaldi rahat milegi.

7) Garam pani(warm water)


Agar apke bacche ke pait main dard h or apko kuch samjh nahi arha h kya kare to apne navjat ko garam pani bhi de sakti h boil kra hua pani jo zada garam na ho bs gun guna ho taki apke bacche ka moh na jale isse apke bacche ke pait dard rahat milegi.
chahe to ap apne bacche ko gun gune pani se nehla sakti hain isse bhi apke bacche ko sukun milega.

8) Elaichi (cardamom)


Elaichi ek aisa gharelu upay h jo pait pholne or pait ki samasiyao main kafi kargar rahi hai, iske liye apko elaichi ko ache se powder bna lena hai or usse apko pani yani ek cup pani bhi le sakti hain aap or usko ache se boil kar lain or jab pani thanda ho jaye to aap uss pani ko apne navjat shishu ko dain sakti hain.

Or iss paani ko breast feeding mother bhi le sakti hain.
Agar maa apni diet achi legi or samay se khaye piye to bacche ko koi dikkat nahi ho sakti to maa ke liye zruri h ki agar wo apne bacche ko apna dodh deti hain to unhe chahiye ki wo apni diet ka bhi khayal rakhe taaki unke navjat shishu ko koi dikkat na ho.

Agar apke newborn ko colic zada hota h ya zada dikkat hoti h to apko jldi se apne Dr ki salaha leni chahiye ya jladi se apko apne bacche ko dikhana chahiye taaki zaada dikkate na badhe.

Read More: https://newzatic.com/

Author

Ilma Khan

Hello, i am Ilma Khan, I love to write blogs on Newzatic.com

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ahomescontents