How to Take Care of Newborn Baby in Summer 2023
Hello dosto main aaj apko btane wali hun How to Take Care of Newborn Baby in Summer 2023.
Jo new parents hote hain unke mann main kafi sawal ate hain ki wo garmiyo main apne baby ki care kese karain.
Garmiya ate he moms ki chinta or zada badh jati hai ki wo apne baby ki care kese karengi yeh bhi Bahut zaruri hota hai ki garmi kis tarhan ho rahi hai.
Table of Contents
March lagte he garmi shuru ho jati hain or April main to or zada garmi badhne lagti hai sath he sath moms ki chinatye bhi double hone lagti hain apne apne baccho ko leker. Garmi shuru hote he he temperature 40 degree tak pohch jata hai or aise main baddo ka to bura haal hota he hai sath main baccho ka bhi burra hone lagta hai aise main yeh garmi navjat shishu ke liye baddi musibat ka karan banne lagta hai. Jo pehli baar mom bani hoti hain or unke baby ki yeh pehli garmi hain to aise main apko apne navjat shishu ka zada khayal rakhna hota hai kyunki bacche ki jitni bhi care kari jaye kam hoti hai isiliye hume apne navjat shishu ki care or zada karni hoti hai garmiyo main bhi.
har man Ko Apne bacche ki chinta hoti hai aur ISI Karan har man Apne bacche ki chinta mein lagi rahti hai.
Garmiyo main sabse zada satark hona padhta hai kyunki garmi jhelna asan nahi hota kisi ke liye bhi or baccho ke liye to or zada mushkil hota h garmi main.
How to Take Care of Newborn Baby in Summer 2023
Or agar yeh garmi apke navjat ki pehli hai to yahn to apko or zada saabdhani baratni hoti hai kyunki garmi main baccho ko rashes ho jana ya loo lag jana ya ghamoriya ho jane ka khatra rehta hai.
Or bhi kahi tarahn ki pareshani ho sakti hain.
Or agar yeh garmi apke navjat shishu ki pehli garmi hain to kese rakhe apne shishu ka dhayan uske liye main apko btana ja rahi hun kuch important tips.
#Soft kapdo ko chunain
#Dhoop se bachaye
#Hyderate rakhain
#diapers se kare bachav
#Telcom powder choose karen
#Fresh air hai zruri
#Machar or keedo se bachave
#Ache se nehlana
#moisturizer hai zaruri
Soft kapdo ko chunain
Agar baat kari jaye soft kapdo ki to hume apne navjat shishu ke liye Mulayam kapde kareedne chahiye jisme hmare shishu ko garmi na lage hum mulayam kapdo main le sakte hain cotton ke kapde agar cotton ke kapdo ki baat kari jaye to bade bhi garmiyo main cotton ke kapde pehnte hain phir yahn baat to navjat ki ho rahi hai to kyun na hum apne shishu ko bhi mulyam yani cotton ke halke halke kapde pehnaye.
Agar hum apne bacche ko cotton ke yani soti kapde pehnate hain to hmare shishu ki skin ko sukun milta hai or sath he hmara shishu acha mehsus krta hai or kisi bhi tarahn ke skin problems hone ke chances nhi hote hain kyuki jab humara shishu soti kapde pehnta hai to usse kya hota hai ki agar hmare shishu ne garmi chodhkar paseena nikala to cotton ke mulayam kapde uss paseene ko absorb kar lete hain jisse hmare shishu ka badan geela nahi rehta.
Dhoop se bachaye
Hume apne shishu ke kapdo ke sath sath uski health ka bhi dhyan utna he zada rakhna hota hai hume apne shishu ko dhoop main lekar kahin jana nhi chahiye taaki hmare shishu ko koi pareshani nhi ho or agar jana bhi padh eahs hai soko to ache se mulayam kapde se dhakar le jaye taaki apka shishu direct dhoop main naa aye.
Subha 10 bje se jo dhop nikalti hai wo kafi tez hone lagti hai or garmi ko badhawa de deti hai. Isliye zruri ki aap apne navjat shishu ko itni garmi main bahr na lekar jaye zada dhoop main kya hota hai jo bacche newborn hote hain 6 mahine ke andar tak ke wo kafi nazuk skin ke hote hain or dhoop unhe direct unki skin ko lagti hai jisse bacche ko rashes or dhop se hone wali bimario ke chances badh jate hain.
Garmi aayi nahi hoti hain or chicken pox or small pox jaisi bimariya shuru ho jati hain baccho main.

Hyderation bhi hai zruri
Aap janti he hain yeh baat ki garmi ayi nahi or pyas lagna shuru ho jati hai to aise main bacche ko hyderat rakhna bhi zruri hota hai garmiyo main sabse zada zruri hai ki aap apne shishu ko hyderat rakhain uske liye zruri hai ki aap apne bacche ko kuch kuch samay baad breastfeeding Kara sakti hain kyunki garmi ke karan baacho ko paseena ata hai or paseene ki wajah se body main se fluid bahr nikalne lagta hai or yeh baccho main dehydration kar sakta hai isliye koshish yeh karain ki aap apne navjat shishu ko apna he breastfeeding karaye .
Diapers ko karain kam istemal
Aap yeh baat to janti he hain ke hume apne shishu ko har time pack nahi rakhna hota hsi isiliye apko Koshish yeh karain ki diaper kam lgaye ap apne shishu ko kyunki zada diaper lgane se shishu ko rashes ki dikkate hone lagti hain .
Hota kya hai jab aap apne navjat shishu ko diaper main rakhti hain zada to usse apke shishu ko hwa nahi lagti hai or na he sahi se sukh pata hai or isi karan apke shishu ko rashes hone lagte hain or diaper ke nishan banne lag jate hain kamar par or jaangu par or isi wajah se apka shishu chidh chidha hone lagta hai.
Lekin aaj kal busy hone ke karan moms apne baccho ko pori tarahn nahi dekh sakti ya unke sath 24 hours nahi reh pati hain isiliye aap apne newborn ke liye cotton ki diaper use kar sakti hain yh apko Aram se online bhi mil jayngi jaise ap le sakti hain jaise fastgear 100%Cloth Diapers for Babies,Reusable,Washable & Adjustable(Newborn,Assorted) on Flipkart
Or
Agar baat kari jaye rashes cream ki to yeh bhi ap online mnga sakti hain lekin mera apse personaly yeh share karna hai ki yahn aap agar apne newborn ko
Boroplus antiseptic cream lgaye to wo zada jaldi fayda karegi or apke baby ko lgegi bhi nahi.
Or sabse zruri yeh hai ki agar aapko apne shishu ke diaper lgane padh rahe hain to ap apne shishu ke diaper ko jaldi jaldi change karain.
Sahi baby powder ka istemal
Jab ap new parents bante hain to apko kuch samjh nahi ata hai ki kya lana hai apne newborn ke liye or kya nahi isi tarahn se ata h ek sahi powder ka hona jisse apke baby ki soft skin ko kuch na ho apko sirf HIMALAYA Baby Powder lena hai jo apko Flipkart
Par asani se mil jayega .
Jab bhi aap Apne newborn baby ki nappy ya diaper change krain to inn powder ka istemal kar sakti hain isse baby ko rashes nahi hote hain ya ghamoriya ya daane nahi hote hain sath he main aap apne navjat shishu ko kholkar rakhain taaki ek achi hawa apke bacche ko lage or wo acha mehsos kare.
Aap ek ache powder ka istemal kar sakti hain jisse apka shishu cool rahe
#Fresh air bhi h zaruri
Agar dekha jaye to fresh air bhi ek zaruri hai baccho ke liye fresh air hone se aapka navjat acha mehsus karega aapko apne shishu ka kamra khol kar rakhna taaki ek achi air mile sath he aapko yeh bhi dekhna hai ki aapka shishu kesa mehsus karta hai
#machar or keedo se safety
Jaise ki aap jaanti hain aaj kal machar or keede kitne khatarnak ho rahe hain apke liye yeh baat bhi dhyan rakhne ki hai ke apke baby ke room main koi bhi keeda ya machar na ho ek machar ke kaatne se apke baby ko rashes bahut jaldi ho jate hain kyunki apke baby ki skin ek dam new hoti hai wo bahut jaldi infection ko catch kar leti hai or apka baby irritate hone lagta hai isi Karan apko apne baby ke room main allout ka istemal karna chahiye taaki koi bhi dengue jaisa machar naa aye aaj kal dengue jaisi bimari bhi aam ho gyi hain .
#Ache se nehlana bhi hai zruri
Agar aap ek new mom hain to apko yeh baat bhi ache se pta hona chahiye ki apke baby ki safai kitni zruri hai.
Baby ko saaf rakhne ke sath sath uski safai kese karain or kya karain yeh bhi janna zruri hai isliye main apko btaongi ki aap apne baby ko kese nehla sakti hain.
Apke liye zruri hai jab bhi aap apne baby ko nehlane ka sochain to aapko apne navjat shishu ko nehlane se kareeb adha ghnate pehle ache baby ki massage karain massage kese karain yeh bhi main apko apni video main bta chuki hun uske baad aap apne baby ko kareeb ⅚ minutes ke liye khula chodh de taaki wo khub ache se apne haath pero ko move kar lain or isse apka baby kafi free feel krega.
Phir ap apne shishu ko nehla sakti hain shishu ko nehlane ke liye apko normal pani lena hoga apko ache se check karna hai ki pani zada garam ya zada thanda to nahi hai or usme aap Dettol ki bond daal sakti hain Dettol ke pani se apke baby ki skin par koi nuksan nahi hoga usse germs marenge or apka baby healthy rehga jab aap apne navjat shishu ko nehlana shuru karain to usse soft hatho nehlaye zada koi sabun ya shampoo na istemal karain agar aap apne shishu ko halke halke bhi nehla deti hain to usse bhi apke shishu ki body se gandegi hat jayegi koi germs nahi rehnge or jab ap apne shishu ko nehla dain to uske baad apko apne shishu ko ache se towel se saaf karker telcom powder ka use karna hai or phir cotton ke soft kapde pehnane hain.
Or agar apke baby ki skin dry ho jati hai to ap apne baby ko liye lotion ka istemal bhi kar sakti hain isse apki baby ki skin soft rehgi or wo acha mehsos karega.
#Moisturizer hai zruri
Yeh to aap ache se janti he hain ki apke shishu ki skin kitni soft hoti hai. Agar ache se ap apne shishu ko moisturizer nahi lgati hain to uski skin jaldi dull or kali hone lagti hai or isse skin ki softness khatam ho jati hai isiliye zaruri ki aap apne shishu ki skin ko ache se moisturizer lga kar rakhain or uske liye aap le sakti hain ek acha moisturizer jaise,
Mamaearth Daily Moisturizing Lotion (400 ml) … on Flipkart
Yeh lotion mene khud use kra hai isiliye main apko yeh recommend karungi apke baby ke liye.