Edit Post

Site Icon
Preview(opens in a new tab)

Best 9 Ear Cure: Kaan dard ke Gharelu upay Home Remedies

Kaan dard ke gharelu upay dhundh rahe hain to main aaj apko btane jaa rahi hun kuch aise kaan dard ke gharelu upay jinse apko milegi chutkiyo main kaan dard se rahat. 

Aaj kal kaan dard ke karan log apni zindagi main sukun se nahi reh pate hain or naa he kahin par enjoy karte hain jo log office jaate hain unhe kaan ke dard ki wajah se kafi sharminda hona padhta hai or wo apne kaam par dhayan bhi nhi lga paate hain. 

Zadatar kaan ke dard se log pareshan ho jate hain 

Agar apne kaan ke doctor ko bhi dikha liya hai or agar fayda nahi ho raha hai to kabhi kabhi kya hota hai ke gharelu upay bahut kaam aate hain pehle ke time main log baag zada doctor ke baare main jaante nahi thy or apna ilaj ghar ke nuskho se he kar liya karte thay par aj kal to har baat main hume doctor ke jaana padh jata hai or hum dwaoun ke aadi ho jate hain lekin kyun na hume pehle chote chote dardo ko ghar ke nuskho se thik karna chahiye uske liye hume kahin jana bhi nahi padega or humare kaan ka dard bhi thik ho jayga jaise hum ghar ke kuch gharelu upay le sakte hain aaye main apko btati hun ki kaan dard ke gharelu upay kya hain. Usse pehle apko pta hona chahiye kaan ke bahari hisse main dard kyun hota hai 

This image has an empty alt attribute; its file name is maxresdefault-7-1024x576.jpg

Kaan ke bahari hisse main dard

Kaan ke bahari hisse main hai dard to ho sakte hain kahi karan jaise lalima ya sujun ho jana yeh kaan ke dard ke sabse aam karano main se hai. Kayi baar kya hota hai ki yeh bacteria ke karan se bhi ho jata hai lekin kabhi kabhi fungus, virus ya allergy bhi iske liye zimmedaar hoti haihai. Kaan ke bahari hisse main dard ke wo hissa mana jata hai jise hum dekh sakte hainhain. Kaan ke bahari hisse main dard hone ke lakshan yeah hain. Kaan ke bahari hisse main dard bahut dardnak hota hai khaskar ke jab. Jab ap apne earlobe ko chote hain to yeah kheechta hai or khujli bhi aam hoti hai. 

Kaan main dard hona

Kaan main dard hona iske kafi karan hote hain kabhi kabhi kaan main dard hona bhi ek samasya se kam nahi hota yeah dard hamre kaan se shuru hokr gale or seene tak ajata hai or humari dikkate badhne lagti hain yeah dheere dheer muh or sar main bhi pohch jata hai or hum bahut bechain rehne lagte hain kaan main dard hona iske kafi karan ho sakte hain kaan dard ki wajah se hum sahi se so bhi nahi pate hain or kafi baar hume bahut se dikkate hone lagti hain. 

Kaan main dard hone ke lakshan

  • Kaan dard main bhari pan hona 
  • Kam sunai dena
  • Gee machlana (nausea) 
  • Kaan se pani ana (discharge) 

Kaan dard main bhari pann hona

Kaan main bhaari pan hona yani bar bar aisa lgna jaise hmare kaan main kuch ho raha hai ya aisa lgna ke kahin kuch gir na jaye kaan se bahr nikal kar

Kam sunai dena

Kaan se kam sunai dena yani jab zadatar humare kaan main dard hone lage to hume kam sunai dene lagta hai jab dard reh reh kar jata nahi hai to dikkate badhne lagti hain. 

Gee machlana

Gee machlana yeah bhi ek lakshan hai ki apke kaan main jo dard ho raha hai wo kisi khatre se kam nahi hai aise main apko apne doctor ko dikhana chahiye forrn. 

Kaan main dard hone ke karan

Kaan main dard hone ke karan bhi janna zaruri hota hai jahan hume itna pta hai to hume yh bhi pta hona chahiye ki humare kaan main dard kis kis wajah se ho sakta hai uske liye main apko btane ja rahi hun kuch khaas kaan main dard hone ke karan. 

  • Kaan main funsi hona
  • Kaan main shampo ya pani chale jana
  • Kaan main mail jam jana 
  • Kaan main cheeti ya machar hone se
  • Kaan ke parde main problem
  • Kaan main funsi 

Kaan main funsi to ek aam karan ho sakta hai kaan ke dard ka garmi aayi nahi ki kaano mai funsi hone lag jati hain or hmare kaan main dard hone lagta hai to uske liye main apko aage lehsun ka istmal btaongi wo kreiyga. 

Kaan main shampo ya pani chale jana

This image has an empty alt attribute; its file name is maxresdefault-8-1024x576.jpg

Aksar kya hota hai hum jaldi jaldi nahne main lage hote hain or usi wajah se hmare kaan main shampoo or pani chala jata hai or usi wajah se bhi hmare kaan main dard hone lagta hai isliye bahut dhayan se nahna chahiye hume. 

Kaan main mail jam jana

Kaan main mail ya gandagi ka jam jana zadatar log apne aap ko bahut saaf rakhte hain lekin hum bhool jate hain ki kaan bhi hume sahi se saaf kar lene chahiye hume apne kaano ko cotton ke mulaayam kapde se bhi saaf karke rakhna chahiye warna mail ya gandgi jamne se bhi hmare kaan main dard hone lagta hai. 

Kaan main cheeti ya machar hone se 

Kabhi kabhi hume hmare kaan main machar ya cheeti bhi ghus jati hai Or humare kaan main he mar jati hai bahr na niklne ke karan wo wahin markar reh jati hain isiliye sote samay hume dhyan se apne bistar saaf kar lena chahiye ya jo bhi hum kapde pehnte hain unhe hume ache se dekh kar pehna chahiye. 

Kaan ke parde main problem

Kafi baar yeah bhi pta chalta hai ke kaan ke parde main chot lagne ya kaan ke parde main koi samasya hone ke karan bhi humare kaan main dard hone lagta hai. Isi liye zarui hota hai ki hume waqt rehte doctor ko bhi dikha lena chahiye. Or ab main apko btane ja rahi hun kuch khaas kaan dard ke gharelu upay

Kaan dard ka gharelu upay

Aaj kal ki bhaag dodh wali zindagi main hum apna khayal nhi rakh pate hain aksar kya hota hai hmare agar kahin dard ho raha hota hai to hum uspar bhi dhyan nahi dete hain or hum apne kaamo main lage rehte hain lekin agar hum sahi samay par apne dard ko ghar ke nuskho se thik kar le to hume zada dikkatain nahi hoti hain or koi bddi bimari ka samna bhi nhi karna padhta hai kaan dard ka gharelu upay main hum kuch aisi cheeze le sakte hain jo hmare paas ghar main he mil jayngi jaise humare kitchen main g haan kitchen main jaise

  • Lehsun
  • Adrak ka ras
  • Pyaz ka ras
  • Oilve oil
  • Sikai
  • Lehsun bhi kam nahi hai kisi dwa se

Lehsun bhi kam nhi hai kisi dwa se lehsun ke andar paye jaane wale gudh tatv itne zada khaas hote hain ke wo dard main rahat pohchane ka kam karte hain. 

Agar apke kabhi achank se dard hone lage to aap apne kitchen se lehsun ko le sakte hain Lehsun ek aisa ingredients hai jo khaane ke taste ke sath sath ilaj main bhi kaam ata hai lehsun vegainiko ke duara ache se jaach partal kara hua hai nuska mana jata hai. 

To kis tarha se kare l kaan dard ke gharelu upay leshun ka istemaal

Sabse pehle to apko ek bartn lena hai ya ap ek twa le sakti hain jisme ap paratha bnate hain uss tawe main apko 2 chae ke chammach kadwa tail dalna or uss tail main apko lehsun ki kuch kaaliyo ke cheelkar daal dena hai jabtak lehsun apna ras ache se tail main chodh na de or jalkr kaal na ho jaye apko use ache se pka lena hai or phir jab wo tail ache se gun guna reh jaye zada garam na ho to ap use kaan main kuch bondo ko daal sakte hain or phir kaan main roi yani cotton ko lga kar so jayain zrur fayda hoga apko kaan dard main aise he ap ek do baar kar lain isse apko bahut rahat milegi.

Adrak ka ras 

Adrak bhi nahi hai kuch kam ap adrak ko bhi kam na samjhe jab bhi apke kaan main dard ho or kuch samjh na aye to ap adrak ko bhi istemaal kar sakti hain adrak main aise anti inflamatory gudh hote hain jo dard main rahat dene ka kaam karte hain ap adrak ka ras nikal kar uska istmal kar sakte hain uske liye apko adrak ko ache se ek cotton me saaf kapde main rakh kar band kar lena hoga or phir usse ache se kuch kal uska ras chammach main nichod lain or uss ras ko apni ungli par lekar kaan main lgaye apko ras direct kaan main nahi daalna hai ya aap iska bhi tail bna sakti hain uske liye aapko til ka tail lena pdhega or til ke tail main adrak ko kotkar ache se pka lena hai or phir thanda hone ke baad cotton ko dip karke ap kaan main lga skte hain. 

Isse bhi apko bahut jaldi kaan ke dard se rahat milegi. 



Pyaz ka ras 

Payz bhi kam nahi hai kisi se pyaz bhi ek aisa ingredient hai jo apko apne kitchen main aram se mil jayga kuch ho ya na ho lekin pyaz to hume aram se mil jaygi kitchen main to aye jaane kese kare pyaz ka istemaal kaan dard main. 

Pyaz ko ache se cheelkar pees liye bina pani ke or jab wo pis jaye to use cotton ke kapde main rakh kar ache se nichod lain taki wo apna ras chodh dai or phir uss rass ki bonde yani 2 bonde ap apne kaan main daal sakti hain isse zada naa daale yeh ap din main ⅔ baar kar lain isse bhi jaldi he aram hoga kaan dard main. 

Olive oil (jaitun ka tail) 

Olive oil bhi kaan dard kam karne main kafi rahat deta hai agar apke kaan main dard ho raha hai or kuch samjh nahi arha to ap olive oil bhi le sakte hain yeh apko kitchen main asani se mil jayga bss apko olive oil ko garam karke zada garm nahi gun guna karke apne kaan main lgana hai dalna nahi hai ya phir ap earbuds ki madad se ise kaan main  lga sakte hain. 

Isse bhi apko zrur rahat milegi kaan dard se. 

Kaan dard ke Gharelu upay 
Kaan dard ke Gharelu upay 

Sikai

Aap apne kaan dard se pareshan hai or dwa nhi khana chahte hain to uske liye apko apne kaan ki sikai karni hogi uske liye apke pass electric paid hoga jiske zriye ap kaan ki sikai kar sakti hain yaad rakhe zada taiz garm nahi karna hai or agar apke pas electric paid nahi hai to ek bada se rumal ya cotton ka mulaayam kapda lai lain or phir usse ache se gas par tawa garam karke kapde ko rakh kar garam kar lain or phir kaan ki sikai karain.

Also Read: https://newzatic.com/
https://newzatic.com/what-is-diabetes-in-hindi/
https://newzatic.com/how-to-take-care-of-newborn-baby-in-summer-2023/



Edit Post

Colormag

HAKUNA MATATA!

( The above word is just to draw your attention. )

Hope you are having a nice experience with ColorMag theme. Please provide this theme a nice review.

What benefit would you have?

Basically, it would encourage us to release updates regularly with new features & bug fixes so that you can keep on using the theme without any issues and also to provide free support like we have been doing.

Howdy, shahnawazn82! You’ve been using ColorMag theme for a while now, and we hope you’re happy with it. To access more premium features you can always upgrade to pro. All contents and settings will remain as it is after upgrading to pro, you basically start from where you left. Also, you can use the coupon code TGFREEUSER to get up to 25% discount (limited time offer) while making the purchase. Enjoy!

PublishPress Authors logo

Hey, you’ve been using PublishPress Authors for 1 week on your site. We hope the plugin has been useful. Please could you quickly leave a 5-star rating on WordPress.org? It really does help to keep PublishPress Authors growing.

Click here to add your rating for PublishPress Authors Maybe later I already did

Colormag

Welcome! Thank you for choosing ColorMag! To fully take advantage of the best our theme can offer please make sure you visit our welcome page.

Get started with ColorMag Clicking the button will install and activate the ThemeGrill demo importer plugin.

The block editor requires JavaScript. Please enable JavaScript in your browser settings, or try the Classic Editor plugin.