Best 13 Foods to Cure Constipation Problem in 2023

Hello dosto main aaj apko btane ja rahi hun constipation ke baare main jo ke aaj kal bahut aam samasiya ho gyi hai zadatar log iss samasiya ke karan apni zindagi main kafi zada pareshan rehte hain na kuch sahi se khate hain na khud main acha mehsos kar paate hain.

Na jaane kitne log iss samasiya se jude hain or iska samna kar rahe hain kabhi kabhi to logo ko constipation ki wjha se logo main milne jhulne main pareshani hoti hai logo ka samna karne main pareshani hoti hai jis karan wo khulkar logo se nhi mil paate hain.

Constipation yani kabz hona h aaj kal ke samay main kafi zada ho gya hai. Jab bhi apko constipation ho jata hai to ap khud main acha mehsos nahi kar paate hain apko har kaam main alkas aata h, apko kuch bhi acha nhi lagta kisi bhi kaam main mann nhi lagta kyunki jab apka pait he thik nhi hoga to apko kuch acha nhi lgega apko kuch khana bhi acha nhi lgega or phir ap andar he andar kamzor hone lagte hain is wjha se apko khud main bhi acha nhi lagta.

Constipation ki wjha se apka digestive system bhi kamzor hone lagta h yani kharab hone lagta hai.

Constipation ke karan apki poty tight ho jati h jiss wajah se apko poty karne main kafi zorr lgana padhta h or uski wjha se aapki aante (intestine) dukhne lagti hain, sar drd hone lagta hai, or aap tab bhi poty nahi kar paate hain or na jaane kon kon se rog (bimariya) lag jati hain.

Constipation hone ke karan.

Constipation hone ke kafi karan hote hain jisme se sabse zada aam karan yeh h,

#Pani ki kami, agar aap zada pani nahi peete hain to yeh bhi bahut badi samasiya hai apke liye isi karan apka mal (stool) sukha ho jata h.

#Acha khana na khana.

#Mainda se bani cheeze khana jaise (Maggie,momos,rolls,wgera)

#Samay par khana na khana, galat time par khana khana.

#Zada chae peena (Chae ya coffee jisme caffeine ho).

#Bina khana hajam hue he khana dubara kha lena jaldi jaldi.

#Zada Stress lena yeh sab cheeze harmones ko khrab kar deti hain or constipation jaisi bimario ko janam de deti hain.

Constipation ko hum kese pta kar sakte hain.

Hume constipation ho raha h yeh kese pta chale isme koi khaas baat nahi h sabse zada common baat yeh h ki hum daily agar poty nahi kar rahe hain to hume kabz ki dikkat h yeh samjh jaye. Constipation jab hota h to hamre mohh mn chale (blisters) nikal aate hain, moh main chaale hona sabse zada common hota hai constipation main. Agar aap bar bar toilet jaa rahe hain or apko poty (mal)  nahi hoti h to yeh bhi constipation yani kabz ki pehchan hai, sar main dard rehna, kuch khaane par jalan hona ya badhazmi hona,moh se badbu ana, pait main gas ho jana kuch bhi acha na lagna bhook na lagna yeh sab constipation ki wjha se hone wali dikkate hoti hain jo ajkal ke samay par aam ho gyi hain. 

Constipation ki wajah se apko gambhir bimari bhi ho sakti hai jaise bawasir, ya pait main chaale,

Or na jane kya kya, isliye aaj main aoko btane ja rahi hun kuch aise gharelu upay jo apki zindagi main sukun he nahi balki constipation ka naam he khatm kar denge.

Best 13 Foods to Cure Constipation Problem in 2023
Best 13 Foods to Cure Constipation Problem in 2023

Gharelu upay constipation (kabz) ke liye

Kya hota h ki hume yeh to pta chal jata h ki hume constipation ho raha h ya hum isse apni adat main shamil kar lete hain, hume lagta h ek din toilet nahi jaynge to kya hua liken aise nhi hota h hume roz he fresh hona chahiye taaki hume koi ghambhir bimari na ho or hum constipation ke shikar na ho lekin log ho jate hain jaane anjaane unhe constipation jaisi samsiya hone lagti hain or phir na jane jane kya ho jata h, to ab aisa nahi hoga agar hum rakhnge apna pora Dhyan karnge apni pori care, uske liye main btane ja rahi hun yeh gharelu upay jinhe karke apko rahat milegi constipation se zrur.

# Sabse pehle main apko btane ja rahi hun constipation ka raam baadh ilaj jo ki hmari purani sanstha se chla arha h agar apne yeh lag kar kar liya to apko constipation se zrur chutkara milega.

Aapko kuch nahi karna  na kahin jana hai na kuch magana hai bss apko apne kitchen (rasoi ghar) se leni yeh kuch cheeze jaise ki 

Ajwain(carom) adha chammach (half teaspoon),

saunf(fennel) adha chammach (half teaspoon),

meithi(Fenugreek) adha chammach (half teaspoon),

Sabut dhaniya (coriander seeds)adha chammach (half teaspoon)

Inn sab cheezo ko apko ek glass pani main daalkr rakh dena hai raat bhar ke liye bhigo kar or subha ko iss pani ko garam karne ke baad chaan kar pee lena hai khali pait. 

Iss upay ko apko lgatar karna hai kuch mahino tak bass phir dheere dheere apko iss pareshani se nijat mil jayegi yeh constipation ka sabse khaas or sabse zada istmal hone wala upay hai jise log aaj bhi karte hain or sukun mn ajate hain.

1) Dodh (milk)

 Ab hum baat karte hain dodh ki jo har ghar mn har haal main mojod hota h 

1 glass dodh main ek chammach ghee daalkr taiz garam karke apko dheere dheere peena hai roz raat main isse apko kabz se he nahi balke jalan se bhi rahat milegi.

2) Isabgol 

Isabgol main aise fibre hote hain jo apki poty ko soft kar dete hain or apko asani se poty ho jati h kuch samay main he.

Isabgol ko aap direct bhi le sakte hain.

Khana khaane ke kuch samay ya 1 ghante baad le sakte hain ek chammach ya do chammach bhi pora glass pani ke sath zada pani zada jldi asar agar apko lag raha h apki poty zada sakt ho gyi h to ap 2 chammach (2 teaspoon) le sakte hain ek glass gun gune pani se yeh apke pait main jaldi ghulegi oe jaldi asar hoga.

3) Garam pani 

Aap chahe to sirf garam pani bhi pee sakte hain rozana yeh garam pani apka weight he loss na karke apko constipation mai. Bhi madadt karega.

4) Green tea

Aapko green tea ya herbal tea bhi ke sakte hain iski adat bna leni chahiye yeh green tea apki kafi madad kregi.

5) Fruits

Wese to fruits bahut fayde dete he hain lekin agar baat Kari jaye kuch khaas phalo ki to yeh apki kafi madad kar sakte hain constipation main jaise aap le sakte hain.

6) Amrood (guava) 

Amrod main bahut saare fiber hote hain, amrod ko (fiber rich food) bhi kaha jata hai, amrod na sirf apke pait ko saaf karta hai balki aapko constipation se bhi bachata hai apke digestive system ko sahi kar deta h.

Or agar aap ek amrod rozana khate hain kala namak lgakar to or zada apki madad karega.

7) Apple 

Aap apple ka bhi savan kar sakte hain apple kabz ke liye behad faydemand hota hai yeh fiber se bharpor hota hai.

Isme mojod fiber apki poty(stool) ko soft karke apki aanto se aram se nikal jata h or apko poty hone main koi dikkat nahi hoti hai.

8) Papaya

Agar baat kari jaye papitay ki to papita bhi kuch kam nahi hai aap papitay ka sevan kar sakte hain kaale namak ke sath raat ko sone se pehle ya din main bhi 

Papitay main bhi bahut saare protein enzymes paye jaate hain.

9) Vegetables

Vegetables bharpor matra main hume kafi fayda deti hain liken kuch vegetables aisi hain jo humare digestive system ko saaf he nahi balka acha bhi rakhti hain jaise ap dekh sakte hain.

10) Broccoli

Ek aisi sabzi jo fiber se bharpor hoti hai jo humare digestive system ko saaf he nahi balki usme hone wale bacteria jinki growth badh jati hai hadd se zada unhe maarkar hmare inestine ko acha kar deti hai.

11) Palak ( spinach )

Palak bhi bahut faydemand hota h constipation main.

Palak ke andar fiber, vitamins A,B,H,C ki zada matra payi jati hai jo humare liye bahut faydemand hoti hai.

Hum palak ko ubal kar uske pani ko bhi le sakte hain uske saag ke sath sath, agar hum uska pani ek ya 2 baar he pee le to isse hume kafi jaldi constipation main rahat milegi.

Or hum palak ka juice bhi le sakte hain jo hume kabz se rahat deta hai ..

Isi tarhn agar hum khali rozana beetroot yani chakundar ka juice piye to isse bhi hume constipation main fayda milega.

12) Aamla

Hum aamle ka juice bhi le sakte hain aamla sirf kabz yani constipation se he rahat nahi deta balki humara digestive system ko mazbot karta hai or kabz jaisi bimario se ladne ki taqat deta hai.

Agar hum 30mililiter yani agar hum 8 teaspoon juice lete hain aamle ka or use ek glass gun gune pani main milkar  subha ko nahr muh peete hain to yeh hmara digestive system thik karta hai or constipation se rahat deta hai.

13) Oats 

Hum oats ko bhi shamil kar sakte hain apni zindagi main yeh hume asani se mil jate hain.

Oats fiber main high rich hote hain yeh hmare pait ko khali karne main bahut madagar hote hain or humara digestive system ko soft karte hain.

Constipation chahe bade ko ho ya chote ko hume ise nazar andaz nahi karna chahiye or jitni jaldi ho sakey hume issko thik kar lena chahiye agar hume koi gharelu upay kam nahi ata hai to hume apne Dr ko dikhana chahiye ache se taki hum jaldi thik ho jayen.

Author

Ilma Khan

Hello, i am Ilma Khan, I love to write blogs on Newzatic.com

One thought on “Best 13 Foods to Cure Constipation Problem in 2023

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

ahomescontents